Meri prblm Kuch Youn ha k Meri beti ha 16 sal ki meray husband na us k sath Galat kam karnay ki kosish ki ha
Meri prblm Kuch Youn ha k Meri beti ha 16 sal ki meray husband na us k sath Galat kam karnay ki kosish ki ha aur bhag gaya bad main beti na btaya k aisa howa ye log molvi hain Jo husband hain is k Bhai na kisi sa pata karwaya to uno na bola g is kam k bad bivi Haram ho jati ha us k bad us ko Ghar sa nikal diya gaya main usi Gharain apnay bachon k sath hon 5 bachay hain meray is bat ko taqreeban 18 month sa zayada time guzar Chuka ha us banday na kabhi na bachon ko pocha na un. Ka kharcha diya wo is bat sa pehlay b aisa he thatlb koi kam kaj nai main khud Kuch karon to karon na karon na karon lakin ab wo Banda muj sa razi nama karna chatay ha lakin main us ki shakal b dekhna nai chati us sa bola k mujy divorce do us na bula Liya g thik ha ap aa jao uder ye kam ho jaye ga wo koi shtam frosh aur wakeel b tha shayad hum gaye un k pas wo jatay sath he g ap razi nama kar lain in k sath Hala k btaya b in ko k ino na beti k sath mis behave Kiya ha is sa pehlay apni behan k sath b kar chukay hain lakin wo g hamari bat he nai sun rahay uno na Jo stam bnaway us main likh diya g k main apni marzi sa talaq laina chati hon aur nikahnamay main talaq k iwaz Kuch Sona aur naqd raqam thi to us k badlay main u s k pas 2 marlay ka Ghar ha Jo k Maine khud khara Kiya mehnt mazdori kar k us main sa aik Marla meray nam aur aik bachon k nam kar diya ap sa bat karnay ka maqsad ye ha k abhi b main apnay bachon ka kharcha khud mang kar rahi hon canteen chala rahi hon aik private school main main is banday k sath nai rehna chati talaq chati hon is sa aur apnay bachon ki custody b chati hon Kun k mujy doubt ha is pa k ye bachon k sath b buri harktain karta ha is liye ap sa mashwara karna chati hon k mujy Kya karna chaye is sab k liye apnay bachay apnay pas chati hon aur in ka kharcha aur talaq is sab ka Kya process ho ga aur wo Jo stam paper Kiya us na us ki Kya value ha ap ki nazar main Kya ap mujy guide kar saktay is baray main please main bohat tension main hon
Wo banda kehta ha Tum Jo marzi karo jidar marzi mujy badnam karo main tumain talaq nai doun ga court sa he ha k lo ge
Offers
Kindly contact me on my number
03445757141
Adv Malik Adeel
